Follow Us @soratemplates

Wednesday 29 November 2017

Neta g ghar par aaye hai..

November 29, 2017 0 Comments

Wo wiski aur rum hath liye,
Kuch chamche apne sath liye,
Tashreef phirse laaye hai,
Neta G ghar par aaye hai....

Panch saal phle bhi ye,
Aise hi rasta bhule the,
Kbhi kamal, kabhi hath to,
Kabhi nishaan inke jhule the,
Toote bijli ke khambo par,
Phirse jhande lahraaye hai,
Neta G ghar par aaye hai....

Wo chhoti jaat ka ldka jo,
Chhi krke door bhagaya tha,
Kal hi neta G ne use,
Sath main bhoj kraya tha,
Toote Foote gharwalon ke,
Phirse achche din aaye hai,
Neta G ghar par aaye hai...

Ram-rahim sathi pakke,
Phir hindu - musalman hue,
Imaan ka path pdane wale,
Sikshak bhi neelam hue,
Bsc , BA , phd sbke,
Wajib daam lgaye hai,
Neta G ghar par aaye hai...

Pichli jeet ke baad jab,
Vikas ka haal pucha tha,
Jansankhya jaada,supply kam,
Ye mudda khoob nocha tha,
25-25 voto wale,
ghar phirse unko bhaaye hai,
Neta G ghar par aaye hai....

Wo sadak aaj b tooti hai,
Bijli g ab bhi roothi hai,
Degree sbki asli hai lekin,
Naukariyan sbki jhooti hai,
5 saal phle kiye hue,
Vaade phirse daurahaye hai,
Neta G ghar par aaye hai...

Monday 27 November 2017

Apne jasbaaton se main....

November 27, 2017 0 Comments

Duniya se nahi ,
Khud se ghabra jaati hun,
Apne jasbaaton se main,
Khud hi bhaag jaati hun..

Mujhe Sunna nahi jisko,
Mujhe chahna nahi jisko,
Hai nafrat bhi mohhabbat si,
Mujhe paana nahi jisko,
Usi bekadar ki,
Yaadon m jaag jaati hun,
apne jasbaaton se main,
Khud hi bhaag jaati hun..

Raaton main,Andheron main,
Tanhaiyon ke Ghero main,
Koi aawaz aati hai,
Koi aagaz laati,
Us cheekhte sannate se,
Khud ko barbaad paati hun,
Apne jasbaaton se main,
Khud hi bhaag jaati hun...

Rab sunta nahi dil ki,
Dil sunta nahi rab ki,
Isi kashmokash m hi,
Kahaniyan bani sbki,
Sbhi logo ke m dil main,
Chhipe alfaaz paati hun,
Apne jasbaaton se main,
Khud hi bhaag jaati hun..

Wednesday 15 November 2017

Mohabbat se dard tak..

November 15, 2017 0 Comments

Kuch baaton se use bhi mohabbat thi,
Un baaton se hume bhi mohabbat thi,
Yuh mohabbat mohabbat m,
Hume unse mohabbat ho gyi thi...

Kuch aankhon m uski shararat thi,
Kuch aankhon m hamari shararat thi,
Yuh nigahon nigahon m ,
Hume unse mohabbat ho gyi thi...

Kuch kadam unke badhe the ,
Kuch kadam hmare badhe the,
Yuh rahon ke aane jaane m,
Humse unse mohabbat ho gyi thi...

Hum unke ho gye the,
Wo haan or na main kho gye the,
Yuhh kareeb aur fanslo main,
Hume unse mohabbat ho gyi thi....

Phir baat thodi alag ho chali thi,
Unki mohabbat kam ho rhi thi,
Hmari mohabbat mukam pa rhi thi,
Yuh avval aakhir hote hote,
Hme unse mohabbat ho gyi ...

Unhe hmme kamiyan lgne lgi thi,
Hme unki kamiya dikhati nahi thi,
Ise andekhe pan ke sath,
Hme unse mohabbat ho gyi thi...

Unke dil ka kamra kisi aur ka tha,
Hmare dil ki har eent bhi unki thi,
Yuh beghar hote hote ,
Hme unse mohabbat ho gyi thi...

Wo hmse rukhsat ho rhe the,
Hm ishq se ruksat ho rhe rhe,
Yuh dur jate jate ,
Hme unse mohabbat ho gyi thi...

Wo gair ki baahon m so rhe the,
Hum unke ro rhe the,
Yuh sote sote rone m,
Hum unse mohhabat ho gyi thi...

Wo apna jahan kahi aur bsa chuke the,
Hm iss jahan se khafa ho rhe the,
Yuh banne uzadne ke sath,
Hme unse nafrat ho rhi thi...

Wo has has ke jee rhe the,
Hum ro ro kar mar rhe the,
Yu bebasi ke chalte,
Hme khud se nafrat ho gyi thi...

Wo baatein...
Jinse unse bhi mohabbat thi,
Jinse hme mohabbat thi,
Un manhoos baaton se,
Hme nafrat ho gyi thi...

Bas yhi rhi ishq ki daastan...
Unhe zindagi se mohabbat ho gyi thi..
Hume mohabbat se nafrat ho gyi thi...

Tuesday 14 November 2017

Bta tu hi...

November 14, 2017 0 Comments

Choti choti teri baatein ,
Yaad aati hai,
Phir teri yaadein aankhein,
Namm kar jaati hai,
Tere diye dard ki aahat,
tod jaati hai,
Kaise main kahu,
Tu mera pyar hai,
Tu hi dildaar hai,
Bta tu hi...

Hum tere dard ko,
Apna bna lete,
Ek baar baanta to hota,
Saari duniya se,
Akele hi ladd jaate ,
Sath mera maanga to hota,
Tum to milke aise bichade,
Kya kru byan,
Dil to jaise patthar hai ab,
Oo mere saiyaan..
Par tu hi pyar hai,
Tu hi dildaar hai
Karu kaise byan ,
bta tu hi...

Khud se koi,
Khud hi bichde,
Dil tuh toote na,
Wapas nazre,
mil bhi na paaye,
Dil tuh bikhare na,
Jaaye to jaan b jaaye...
Jaan e jaan jaaye na,
Ab na pyar hai,
Dard hi yaar hai,
Yhi har baar hai,
Jahan m haan..
Par kaise m kahu,
Ki tu mera yaar hai,
Tuhi dildaar hai ,
Bta tu hi..

Monday 13 November 2017

Main Tarasne lagi hoon..

November 13, 2017 0 Comments

Aaa jaoge tum,
Jis pal nazar main,
Us ek nazar ko ,
Main tarasne lgi hoon,
Chha jaoge tum,
Yaadon m jis pal,
Un yaadon ko ,
Main tarasne lgi hoon...

Teri hasi ho,
Teri hi baatein,
Ho meri chahat janam,
Teri muradein,
Aisi duaye main to,
Krne lagi hoon,
Aa jaoge tum,
Jis pal nazar main,
Us ek nazar ko,
Main tarasne lgi hoon....

Kuch is tarah se,
Hoon teri aashique,
Milne ki tujhse,
Karti hu saazish,
Aawargi main to,
Karne lagi hoon...
Aa jaoge tum,
Jis pal nazar main,
Us ek nazar ko,
Main tarasne lgi hoon...

Aankhon main aansu,
Ki parwah nahin hai,
Kah de tu jo,
Mere liye wo shi hai,
Aisi diwangi,
Tujhse karne lgi hoon,
Aa jaoge tum,
Jis pal nazar main,
Us ek nazar ko ,
Main tarasne lagi hoon...

Jitni kahani pyar ki dekhu,
Usme main bas tujhko hi dekhu,
Ab baikhudi main,
M badalne lagi hoon..
Aa jaoge tum,
Jis pal nazar m,
Us ek nazar ko,
Main tarasne lagi hoon...

Friday 10 November 2017

My parents killed me..

November 10, 2017 0 Comments

Kal pta chala papa ko main,
Duniya main aane wali hoon...
Beti hu isiliye unka ,
Ab dard bdhane wali hoon..
                      Mummy se bole papa ki,
                     Humpar ek upkaar kro,
  .                  Saansein le ye isse phle,
                      Ise maar do,
          .           Ise maar do...
Papa se boli mummy ki,
Isme iski kya galti hai,
Papa bole galat yahi,
Paida hogi ek ldki hai,
               Ek din bhari sadak pr,
              Iska daaman maila ho jaayega,
              Ye to phir bhi mar jayegi,
              Badnaam ghar ho jaayega,
Na ho badnaami isiliye ,
Humpar ek upkaar kro,
Saansein le isse phle,
Ise maar do,
Ise maar do....
               Mummy boli papa se ye,
               Naam bahut kmayegi,
               Kabil itni hogi ki ye,
               Daaman laakhon bachayegi,
Papa bole mummy se ye,
Wo naam kaam kis aayega,
Iske naam aur paise ka,
Ho Saajna haqdaar jaayega,
              Na ho barbaadi paise ki,
             Tum kaam nek ye aaj kro,
             Saansein le iske phle ,
             Ise maar do,
             Ise maar do...
Hogi paida beti gar toh,
Bojh ghar pr ban jaayegi,
Laakhon ka lekar dahej ,
Kangaal hme kar jaayegi,
                   Na ho laachari isiliye ,
                   Humpar ye ehsaan kro,
                   Saansein le ye isse phle,
                   Ise maar do,
                   Ise maar do....
Maine bola phir papa se,
Duniya main mujhko aane do,
Jaise bolego rah lungi,
Kuch lamhe bas jee jaano do,
                     Na papa na, na maa ne meri,
                     Pukar ko koi maan diya,
                     Jeene ka mujhse haq chhina,
                     Mujhe maar diya,
                     Mujhe maar diya.....
             

Monday 6 November 2017

Tere bina...saajna....

November 06, 2017 0 Comments

Song for the ppl away from their love:_-
Main marr rhi hu tere bina,
Tadap rahi hu tere bina,
Aakhein roti hai har din hi,
Saajna.......
Mil bhi ja saajna....
Le gle se laga ....
Saajna....

Gumsum hu,
Duniyan ki bheed main bhi,
Kuch yaad hai agar,
To bas yaad teri,
Aye khuda le hi le,
Tu jaan meri,
Jee na saku,saajna...
Has na saku , saajna...
Mar hi saku , saajna.....

Ishq ka junoon, ghat ta nahin...
Tu hi mera , banta nahin...
Maut se buri, hai ye saza..
Saajna....
Meri ye saansein bewajah,
Meri har geet besura...
Tere bina...saajna...
Subah na subah , saajna...
Har taraf dhua,saajna...
Aur na rula saajna...
Mujhe na bhula saajna....
Mil bhi ja saajna...
Le gle se lga ..saajna....

काश मेरे भी होते पंख।

November 06, 2017 0 Comments

Kash mere bhi hote pankh,
Main bhi udti panchhiyon ke sang,
Na duniya ki chinta hoti,
Na dalta rang main bhang,
Kash mere bhi hote pankh...

Bina kisi ki rok tok ke,
Main aasmaa m udti,
Khule gagan ke niche,
Main bhi apne sapne bunti,
Meri badti uchiyon ko dekhkar,
Hoti sari duniya dang,
Kash mere bhi hote pankh.....

Main na bandhi hoti phir,
Is samaj ke bandhan main,
Nit nayi ummeedein lekar,
Khud chahakti aangan main,
Main wo karti,jo main chahti,
Na phir koi karta tang,
Kash mere bhi hote pankh.....

Apne armaanon ko main,
Har din aur bda karti,
Main phir udkar,
upar uthkar,
Ho jaati taaron ke sang,
Kash mere bhi hote pankh...

Aaj phir uski hatheli par kisi aur ka naam dekha..

November 06, 2017 0 Comments

Aaj phir uski hatheli par,
Kisi aur ka naam dekha,
Aaj phir apne dil ko,
Bina kisi naam ke dekha..

Aaj phir mohabbat ke,
Dar par gye hum,
Aaj phir khud ko,
Khali hath dekha,
Aaj phir uski hatheli par,
Kisi aur ka naam dekha...

Aaj phir hum tanha se hue,
Aaj phir dekhe dard ke dhue,
Aaj phir apne jazbaaton ka,
Khoon sare-aam dekha,
Aaj phir uski hatheli par,
Kisi aur ka naam dekha...

Aaj phir khud ko,
Ishq m anjaan dekha,
Aaj phir apne,
Junoon ka anjaam dekha,
Aaj phir uski hatheli par,
Kisi aur ka naam dekha...

Aaj phir dil tootne ki,
Aawaz ko suna,
Aaj phir dil main dabi,
Aah ko suna,
Aaj phir jamane ka humpr,
Ishq krne ke ilzaam ko dekha,
Aaj phir uski hatheli par,
Kisi aur ke naam ko dekha......