Follow Us @soratemplates

Wednesday 3 January 2018

Unki shahadat par... (A tribute to indian soldiers)


Wo Bhari jawani main,
Bandh kar kafan sir se,
Hm jee le aman m wo,
Karte sir alag dhad  se,
Unhe hoga khauf kiska,
roj maut se milte hai,
Unki shahadat par,
Gul registan main khilte h...
Wo maa bhi gazab maa hai,
Jo bete ko yu janti hai,
Jaan dede watan par khoon,
Josh aisa bharti hai,
Uske or bete ke dil,
Khato main hi milte hai,
Unki shahadat par,
Gul registan m khilte hai...
Wo dulhan jise milti,
Judai sang vidai main,
Wo dilruba jise milti,
Safedi muh dikhai main,
Aawam main kaha aise,
Kisse roj milte hai,
Unki shahadat par,
Gul registan main khilte hai...
Hoga jigar kaisa us ,
baap ka yaaro,
Eklaute ko jalakar,
Marta maut hazaro,
Bina kandhe samshan m,
Wo faqr se hi jalte hai,
Unki shahadat main,
Gul registan main khilte hai...
Rakhi ke din jab ,
Laakhon raakhiyan hai bikti,
Ek raakhi kahin par,
Hai kalai ko tarasti,
Ye saare rishte bhi ,
Shaheedon se hi dikhte hai,
Unki shahadat par,
Gul registan m khilte h....
Sareaam imaan ko,
Na Becha karo yaaro,
Apni sachchai ,
Tum bhi desh par waaro,
Desh ko bachane ko,
Sainik kafan -sang phirte hai,
Unki shahadat par,
Gul registaan main khilte h...




No comments:

Post a Comment