Follow Us @soratemplates

Sunday 31 December 2017

"💝कबीर की काव्या💝"- part 2

December 31, 2017 0 Comments





Part-2

रिया और मैं अलग अलग कॉलेज  की स्टूडेंट थी। एक दिन में कॉलेज से वापस आयी तो रिया किसी से फ़ोन पर बात कर रही थी, जैसे ही मैं कमरे में घुसी तो उसने कहा ," अरे ये मैंने पहले क्यों नही सोचा, समझो काम हो गया।" ये कहकर उसने फ़ोन रख दिया।
                 शाम को उसने मुझसे कहा- 'काव्या, तू जो इतना सब शायरी सब लिखती है अगर तुझे कभी मौका मिले तो क्या तू इसे प्रोफेशनली करना चाहेगी?"
"क्यो नही,बिल्कुल"-मैंने झट से कहा।
"तो समझ हो गया ये"- रिया ने कहा।
रिया ने बताया कि कबीर को एक म्यूजिकल प्ले करना है जिसके लिए उसे एक 'शब्दो का जादूगर ' यानी एक राइटर चाहिए और रिया के हिसाब से में उसके लिए एकदम सही हूँ।।
" यार तू पागल है क्या , मैं तो बस ऐसे ही लिखती हूँ ऐसे किसी प्ले के लिए ....कैसे लिख सकती हूं???? मैं कोई लेखक या कवि थोड़े न हूँ।" ये कहकर मैंने उसे मना कर दिया।
मुझे लगा ये बात यही पर खत्म हो गयी है। अगले दिन जब में वापस आयी तो दरवाजा खोलने में रिया ने बहुत वक़्त लगाया।
जैसे ही दरवाजा खुला, मैं जोर से चिल्लाई-" कहाँ , व्यस्त थी मैडम आ..........प।।
               मेरा ये आप कोई और ही आप बन गया क्योंकि दरवाजा खोलने वाला था..........कबीर।।
"सॉरी , मुझे लगा रिया है"- मैंने कहा।
"कोई बात नही,हो जाता है" - कबीर ने कहा।
अंदर आयी तो देखा कि रिया की बॉयफ्रेंड अभय भी था वहां।
रिया किचन में थी , मैं सीधे रिया के पास गई और पूछा-"ये लोग यहां क्या कर रहे है??"
'अभय मुझसे मिलने आया है और कबीर तुझसे'- रिया ने कहा।
"बकवास मत कर, सही बता "- मैंने फिरसे कहा।
"वो सही कह रही हैं,मैं आपसे ही मिलने आया हूँ"
ये आवाज़ थी कबीर की, जो मेरे पीछे खड़ा था।
मैं चुप हो गई और बात को संभालते हुए कहा-
"नही मैं तो बस वो  पू..........छ " मेरा इतना कहना हुआ भी नही था है  कि रिया और कबीर बहुत जोर से हँसने लगे।
रिया ने मुझे बताया कि कबीर मुझसे प्ले के बारे मैं बात करने आया है।
"यार मैं कोई प्रोफेशनल तो हूँ नही , मैं नही कर पाउंगी"- मैंने कहा।
'पर आपकी कविताएं तो कहती है कि आप कर पायेगी'-कबीर ने जवाब दिया।
मैंने रिया की तरफ देखा, उसने मेरी डायरी कबीर को जो पढ़वा दी थी।
कबीर ने बहुत ही शराफत से कहा- "मान जाइये न, प्लीज... आप जैसे किसी की मुझे और मेरे प्ले को बहुत जरूरत है।"
न जाने क्या था उसकी इस बात मैं भी कि मैं उसे ना नही कह पायी और मैने हाँ में सिर हिला दिया।
"तो ठीक है, कल से 3 बजे मिलते है। आपका इंतजार रहेगा।"- इतना कहकर कबीर और अभय वहां से चले गए और मैं बस उसे देखती रही।।

Thursday 28 December 2017

"💝कबीर की काव्या💝"- part 1

December 28, 2017 0 Comments
                               
  Part -1  ''पहली मुलाकात"
अगस्त का महीना और बारिश की बूंदे, उसपर उसके गिटार की आवाज़ .......कुछ यूँ इस संडे की शुरुआत हुई थी। आंखे खुली तो गिटार की धुन कानो से सीधे दिल में जाने लगी...उठकर देखा तो पता चला सामने वाली खिड़की में एक नया चेहरा रहने आया है- 'कबीर'... कबीर नाम था उसका...
वो पीठ करके बैठा था तो उसे देख नही पायी...मेरी रूममेट के बॉयफ्रेंड का नया रूममेट था वह।
        मेरी अब नींद उसके गिटार की आवाज़ और सा रे गा मा के रियाज़ से खुलती थी  बिना देखे ही उसे कुछ ही दिन में मुझे उसकी आवाज़ से प्यार हो गया था बहुत बार देखना भी चाहा पर कभी ठीक से देख पाऊं  ऐसा मौका नही मिला।।
में लिखा करती थी ,कविता...सोचती थी कि अगर उसकी आवाज़ में मेरे शब्द हो तो कैसा हो...
एक दिन उठी ही थी कि तभी संगीत की आवाज़ रुकी और मेरी रूममेट की आवाज़ सुनाई दी-" हेलो, कबीर", रिया मेरी रूममेट ने उसे आवाज़ दी और बदले में हेलो भी आया... उठ न काव्या , उसे झट से मुझे उठाया ...और मुझे खिड़की पर ले आयी और ज़ोर से चिल्लाई ,कबीर ये है मेरी जान काव्या । बताया था न...
   एक तो आप किसी को अनजाने ही पसंद करो और आपको वो बिना धुले मुँह और बिखरे बालों के साथ देखे वो भी खिड़की खिड़की .... ये क्या किया रिया तूने, में मन ही मन बोला..... खैर कबीर ने मुझे हेलो और गुड मॉर्निंग कहा और मैंने वही अपने बालों को संभालते हुए वापस से दोहराया.... कुछ इस तरह उसने मुझे और मैंने उसे देखा।। उसकी आवाज़ से ज्यादा खूबसूरत मुझे उसकी आंखें लगी......।।
  

Mazil se mohabbat

December 28, 2017 0 Comments

Neendein neendon m na rhi,
Baatein duniya ki na rahi,
Jabse ankhon m sapna basa hai,
Raatein kaali na rahi....

Kuch banna hai,
Kuch krna hai,
Apna bhi wikipedia,
Ab jrur bnna hai,
Manzil ki guftagu ki,
Ab mahfil suni suni na rahi,
Jbse aankhon m sapna basa hai,
Raatein kaali na rahi.....

Na dil tootne ka gam h ab,
Na dilbaar ki aas hai,
Waqt kam h aur,
Raaste hazar hai,
Jbse khwaabon ko jeene lga hu,
Jazbaaton ki bisat na rahi,
Jabse aankhon m sapna basa hai,
Raatein kaali na rahi....

Chhpikar duniya se,
Nya pul banata hu,
Na ab nadiyon se darta hun,
Na sagar se ghabrata hun,
Bahut uchchi udan hai meri,
Baatein gahriyon tak na rahi,
Jbse aankhon m sapna basa hai,
Raatein kali na rahi...

Kisi ke yakin ki mujhe ab,
Jrurat si nahi lagti,
Mujhe yakin hua hai jbse khud par,
Manzil tbse dur nahi lagti,
Logo ke taano aur baaton ki,
Ab koi aukaat na rhi,
Jbse aankhon m sapna basa hai,
Raatein kaali na rahi ...

Wednesday 27 December 2017

Main tumhe yaad rahungi na..??

December 27, 2017 0 Comments

Janti hu main,
Janta hai tu,
Jazbaaton se,
Dono hi rubaroo ,
Mere pyar ka,
Tere pyar se,
Aasan nahi milna,
Par ,
Mujhe itna to kaho,
Main tum yaad rahungi na???

Sab kuch bhulake,
Khud ko rulake,
Palke jhuka ke,
Tumko chaha hai,
Tumko bhi toh,
Pyar ishq main,
Tha janam marna,
Mujhe itna to kah do,
Main tumhe yaad rahungi na???

Badalungi main bhi,
Badaloge tum bhi,
Badalti hai ye,
Kaynat hi,
Tumse juda hokar,
Mushkil hoga jeena,
Mujhe itna to kah do,
Main tumhe yaad rahungi na?

Jab khushi rahengi,
Har taraf tere,
Jab lakhon honge tere,
Diwane mere jaise,
Har din nayi mohabbat ka,
Tere dil main hoga rahna,
Mujhe itna to kah do,
Main tumhe yaad rahungi na???

Tuesday 26 December 2017

Khayaal ye tmhara...

December 26, 2017 0 Comments

Duniya ki bheed m bhi,
Tanhai mil jaati hai,
Na chahte hue bhi,
Jab tumhari yaad aati hai,
Ek khayaal ye bhi hai,
Kya tujhme bhi mere khyaal hai...???

Chai ke cup ki subah se,
Thaki hue shaamo tak ,
Aankhon main chhipe ashqo se,
Ankahe alfaazon tak ,
Saans dar saans tera ahsaas hai,
Ek khayaal ye bhi hai,
Kya tujhme bhi mera khayaal hai...???

Khaamosh raaston par bhi,
Teri aawazein sun leti hu,
Tujhse jo na kah paayi,
Teri tasveer se kah leti hun,
Mujhe to aaj bhi tujhse,
Pahli mohbbat sa pyar hai,
Ek khayaal ye bhi hai,
Kya tujhme bhi mera khyaal hai....???

Bahane dhundti hu,
Tujhse guftagu karne ke liye,
Saansein maangti hun,
Teri mohabbat main mrne ke liye,
Mera nikle dam ,tu ho samne,
Bas itna sa armaan hai,
Ek khayaal ye bhi hai,
Kya tujhme bhi mera khayaal hai....???

Tu beparwah hai, bedardi hai,
Isme bhi to rab ki marzi hai,
Sukr ada phir bhi khuda hai,
Mere dil main ishq ki khudgarzi hai,
Mujhse door rhne ka,
Kya tujhko malaal hai...?
Ek khayaal ye bhi hai ,
Kya tujhme bhi mera khayaal hai..???

Khayaal ka kya hai,
Waqt Bewaqt aa hi jaata hai,
Khayaal us hadd tk hai tera ki,
Bekhayaali m bhi tera khayaal aata hai,
Ishq nahi, mohbbat nahi,
Ye jazbaaton ka jaal hai,
Ek khayaal ye bhi hai,
Kya tujhe bhi mera khayaal hai...????

Ye dariya dili, ye pagalpaan,
Tere ishq main jo ho gyi hu jogan,
Ye bas tere liye hi hai,
kisi aur ka na hoga,
Phir kaise kare mohabbat,
Ek baar m hi behaal hai,
Ek khayaal ye bhi  hai,
Kya tujhme bhi mera khayaal hai...???

Kuch isliye bhi nahi kuch kahti m tujhse,
Pyar bina sharton ka jo hota hai,
Har koi maanta h ye baat,
Dil par zor kaha hota hai ,
Ladd le duniya se par,
Pr ishq to khud pr khud ki hi chaal hai,
Ek khayaal ye bhi,
Kya tujhme bhi mera khayaal hai...??

Sunday 10 December 2017

Phir laut aana...

December 10, 2017 0 Comments

Bhula sako toh,
Bhula dena,
Na bhula sako to,
Phir rula dena,
Tum bhi kya yaad rakhoge,
Izazat hai tumhe,
Phir laut aana....
Jab hone lage tanhai tumhe,
Jab milne lage ruswai tumhe,
Sab kahne lge harjai tumhe,
Tum andhiryon main mat jaana,
Izazat hai tumhe,
Phir laut aana....
Chota sa dil mera lekin,
Pyar beshumar hai,
Phir se dil tudwane ko,
Ye kafir taiyaar hai,
Sach hai ye bhi lekin,
Tumpar na aitbaar hai,
Sachcha na kr pao,
Phir jhoota pyar le aana,
Izazat hai tumhe,
Phir laut aana.....
Phir laut aana....

Wednesday 6 December 2017

Mere dil maan ja....

December 06, 2017 0 Comments

Kis haq se kre,
Hum shikayat,
Kis haq se kre,
Hum bagavat,
Mere dil.... Maan ja....
Sb achcha ho to hi,
Sb dildaar bante hai,
Mtlb se hi ab toh,
Sab humraaz bante hai,
Koi nahi ....hai tera...
Mere dil....Maan ja.....
Yaari to rhti hai bas,
Yaar badal jaate hai,
Vaadein whi hote hai,
Bas pyar badal jaate hai,
Sabhi ka hai ..Ye kissa...
Mere dil....Maan ja....
Tera hi to nahi,
Bas dil toota hai,
Sachche jazbaaton ka,
Haal yhi bas hota hai,
Ashq aur.... na baha...
Mere dil....Maan ja....
Kaisi ye zidd dil ki,
Raaton ko jagta hai,
Jinki manzil duzi,
Unki raahein taqta hai,
Khud ko yuh... na sata...
Mere dil....Maan ja.....

Wednesday 29 November 2017

Neta g ghar par aaye hai..

November 29, 2017 0 Comments

Wo wiski aur rum hath liye,
Kuch chamche apne sath liye,
Tashreef phirse laaye hai,
Neta G ghar par aaye hai....

Panch saal phle bhi ye,
Aise hi rasta bhule the,
Kbhi kamal, kabhi hath to,
Kabhi nishaan inke jhule the,
Toote bijli ke khambo par,
Phirse jhande lahraaye hai,
Neta G ghar par aaye hai....

Wo chhoti jaat ka ldka jo,
Chhi krke door bhagaya tha,
Kal hi neta G ne use,
Sath main bhoj kraya tha,
Toote Foote gharwalon ke,
Phirse achche din aaye hai,
Neta G ghar par aaye hai...

Ram-rahim sathi pakke,
Phir hindu - musalman hue,
Imaan ka path pdane wale,
Sikshak bhi neelam hue,
Bsc , BA , phd sbke,
Wajib daam lgaye hai,
Neta G ghar par aaye hai...

Pichli jeet ke baad jab,
Vikas ka haal pucha tha,
Jansankhya jaada,supply kam,
Ye mudda khoob nocha tha,
25-25 voto wale,
ghar phirse unko bhaaye hai,
Neta G ghar par aaye hai....

Wo sadak aaj b tooti hai,
Bijli g ab bhi roothi hai,
Degree sbki asli hai lekin,
Naukariyan sbki jhooti hai,
5 saal phle kiye hue,
Vaade phirse daurahaye hai,
Neta G ghar par aaye hai...

Monday 27 November 2017

Apne jasbaaton se main....

November 27, 2017 0 Comments

Duniya se nahi ,
Khud se ghabra jaati hun,
Apne jasbaaton se main,
Khud hi bhaag jaati hun..

Mujhe Sunna nahi jisko,
Mujhe chahna nahi jisko,
Hai nafrat bhi mohhabbat si,
Mujhe paana nahi jisko,
Usi bekadar ki,
Yaadon m jaag jaati hun,
apne jasbaaton se main,
Khud hi bhaag jaati hun..

Raaton main,Andheron main,
Tanhaiyon ke Ghero main,
Koi aawaz aati hai,
Koi aagaz laati,
Us cheekhte sannate se,
Khud ko barbaad paati hun,
Apne jasbaaton se main,
Khud hi bhaag jaati hun...

Rab sunta nahi dil ki,
Dil sunta nahi rab ki,
Isi kashmokash m hi,
Kahaniyan bani sbki,
Sbhi logo ke m dil main,
Chhipe alfaaz paati hun,
Apne jasbaaton se main,
Khud hi bhaag jaati hun..

Wednesday 15 November 2017

Mohabbat se dard tak..

November 15, 2017 0 Comments

Kuch baaton se use bhi mohabbat thi,
Un baaton se hume bhi mohabbat thi,
Yuh mohabbat mohabbat m,
Hume unse mohabbat ho gyi thi...

Kuch aankhon m uski shararat thi,
Kuch aankhon m hamari shararat thi,
Yuh nigahon nigahon m ,
Hume unse mohabbat ho gyi thi...

Kuch kadam unke badhe the ,
Kuch kadam hmare badhe the,
Yuh rahon ke aane jaane m,
Humse unse mohabbat ho gyi thi...

Hum unke ho gye the,
Wo haan or na main kho gye the,
Yuhh kareeb aur fanslo main,
Hume unse mohabbat ho gyi thi....

Phir baat thodi alag ho chali thi,
Unki mohabbat kam ho rhi thi,
Hmari mohabbat mukam pa rhi thi,
Yuh avval aakhir hote hote,
Hme unse mohabbat ho gyi ...

Unhe hmme kamiyan lgne lgi thi,
Hme unki kamiya dikhati nahi thi,
Ise andekhe pan ke sath,
Hme unse mohabbat ho gyi thi...

Unke dil ka kamra kisi aur ka tha,
Hmare dil ki har eent bhi unki thi,
Yuh beghar hote hote ,
Hme unse mohabbat ho gyi thi...

Wo hmse rukhsat ho rhe the,
Hm ishq se ruksat ho rhe rhe,
Yuh dur jate jate ,
Hme unse mohabbat ho gyi thi...

Wo gair ki baahon m so rhe the,
Hum unke ro rhe the,
Yuh sote sote rone m,
Hum unse mohhabat ho gyi thi...

Wo apna jahan kahi aur bsa chuke the,
Hm iss jahan se khafa ho rhe the,
Yuh banne uzadne ke sath,
Hme unse nafrat ho rhi thi...

Wo has has ke jee rhe the,
Hum ro ro kar mar rhe the,
Yu bebasi ke chalte,
Hme khud se nafrat ho gyi thi...

Wo baatein...
Jinse unse bhi mohabbat thi,
Jinse hme mohabbat thi,
Un manhoos baaton se,
Hme nafrat ho gyi thi...

Bas yhi rhi ishq ki daastan...
Unhe zindagi se mohabbat ho gyi thi..
Hume mohabbat se nafrat ho gyi thi...

Tuesday 14 November 2017

Bta tu hi...

November 14, 2017 0 Comments

Choti choti teri baatein ,
Yaad aati hai,
Phir teri yaadein aankhein,
Namm kar jaati hai,
Tere diye dard ki aahat,
tod jaati hai,
Kaise main kahu,
Tu mera pyar hai,
Tu hi dildaar hai,
Bta tu hi...

Hum tere dard ko,
Apna bna lete,
Ek baar baanta to hota,
Saari duniya se,
Akele hi ladd jaate ,
Sath mera maanga to hota,
Tum to milke aise bichade,
Kya kru byan,
Dil to jaise patthar hai ab,
Oo mere saiyaan..
Par tu hi pyar hai,
Tu hi dildaar hai
Karu kaise byan ,
bta tu hi...

Khud se koi,
Khud hi bichde,
Dil tuh toote na,
Wapas nazre,
mil bhi na paaye,
Dil tuh bikhare na,
Jaaye to jaan b jaaye...
Jaan e jaan jaaye na,
Ab na pyar hai,
Dard hi yaar hai,
Yhi har baar hai,
Jahan m haan..
Par kaise m kahu,
Ki tu mera yaar hai,
Tuhi dildaar hai ,
Bta tu hi..

Monday 13 November 2017

Main Tarasne lagi hoon..

November 13, 2017 0 Comments

Aaa jaoge tum,
Jis pal nazar main,
Us ek nazar ko ,
Main tarasne lgi hoon,
Chha jaoge tum,
Yaadon m jis pal,
Un yaadon ko ,
Main tarasne lgi hoon...

Teri hasi ho,
Teri hi baatein,
Ho meri chahat janam,
Teri muradein,
Aisi duaye main to,
Krne lagi hoon,
Aa jaoge tum,
Jis pal nazar main,
Us ek nazar ko,
Main tarasne lgi hoon....

Kuch is tarah se,
Hoon teri aashique,
Milne ki tujhse,
Karti hu saazish,
Aawargi main to,
Karne lagi hoon...
Aa jaoge tum,
Jis pal nazar main,
Us ek nazar ko,
Main tarasne lgi hoon...

Aankhon main aansu,
Ki parwah nahin hai,
Kah de tu jo,
Mere liye wo shi hai,
Aisi diwangi,
Tujhse karne lgi hoon,
Aa jaoge tum,
Jis pal nazar main,
Us ek nazar ko ,
Main tarasne lagi hoon...

Jitni kahani pyar ki dekhu,
Usme main bas tujhko hi dekhu,
Ab baikhudi main,
M badalne lagi hoon..
Aa jaoge tum,
Jis pal nazar m,
Us ek nazar ko,
Main tarasne lagi hoon...

Friday 10 November 2017

My parents killed me..

November 10, 2017 0 Comments

Kal pta chala papa ko main,
Duniya main aane wali hoon...
Beti hu isiliye unka ,
Ab dard bdhane wali hoon..
                      Mummy se bole papa ki,
                     Humpar ek upkaar kro,
  .                  Saansein le ye isse phle,
                      Ise maar do,
          .           Ise maar do...
Papa se boli mummy ki,
Isme iski kya galti hai,
Papa bole galat yahi,
Paida hogi ek ldki hai,
               Ek din bhari sadak pr,
              Iska daaman maila ho jaayega,
              Ye to phir bhi mar jayegi,
              Badnaam ghar ho jaayega,
Na ho badnaami isiliye ,
Humpar ek upkaar kro,
Saansein le isse phle,
Ise maar do,
Ise maar do....
               Mummy boli papa se ye,
               Naam bahut kmayegi,
               Kabil itni hogi ki ye,
               Daaman laakhon bachayegi,
Papa bole mummy se ye,
Wo naam kaam kis aayega,
Iske naam aur paise ka,
Ho Saajna haqdaar jaayega,
              Na ho barbaadi paise ki,
             Tum kaam nek ye aaj kro,
             Saansein le iske phle ,
             Ise maar do,
             Ise maar do...
Hogi paida beti gar toh,
Bojh ghar pr ban jaayegi,
Laakhon ka lekar dahej ,
Kangaal hme kar jaayegi,
                   Na ho laachari isiliye ,
                   Humpar ye ehsaan kro,
                   Saansein le ye isse phle,
                   Ise maar do,
                   Ise maar do....
Maine bola phir papa se,
Duniya main mujhko aane do,
Jaise bolego rah lungi,
Kuch lamhe bas jee jaano do,
                     Na papa na, na maa ne meri,
                     Pukar ko koi maan diya,
                     Jeene ka mujhse haq chhina,
                     Mujhe maar diya,
                     Mujhe maar diya.....
             

Monday 6 November 2017

Tere bina...saajna....

November 06, 2017 0 Comments

Song for the ppl away from their love:_-
Main marr rhi hu tere bina,
Tadap rahi hu tere bina,
Aakhein roti hai har din hi,
Saajna.......
Mil bhi ja saajna....
Le gle se laga ....
Saajna....

Gumsum hu,
Duniyan ki bheed main bhi,
Kuch yaad hai agar,
To bas yaad teri,
Aye khuda le hi le,
Tu jaan meri,
Jee na saku,saajna...
Has na saku , saajna...
Mar hi saku , saajna.....

Ishq ka junoon, ghat ta nahin...
Tu hi mera , banta nahin...
Maut se buri, hai ye saza..
Saajna....
Meri ye saansein bewajah,
Meri har geet besura...
Tere bina...saajna...
Subah na subah , saajna...
Har taraf dhua,saajna...
Aur na rula saajna...
Mujhe na bhula saajna....
Mil bhi ja saajna...
Le gle se lga ..saajna....

काश मेरे भी होते पंख।

November 06, 2017 0 Comments

Kash mere bhi hote pankh,
Main bhi udti panchhiyon ke sang,
Na duniya ki chinta hoti,
Na dalta rang main bhang,
Kash mere bhi hote pankh...

Bina kisi ki rok tok ke,
Main aasmaa m udti,
Khule gagan ke niche,
Main bhi apne sapne bunti,
Meri badti uchiyon ko dekhkar,
Hoti sari duniya dang,
Kash mere bhi hote pankh.....

Main na bandhi hoti phir,
Is samaj ke bandhan main,
Nit nayi ummeedein lekar,
Khud chahakti aangan main,
Main wo karti,jo main chahti,
Na phir koi karta tang,
Kash mere bhi hote pankh.....

Apne armaanon ko main,
Har din aur bda karti,
Main phir udkar,
upar uthkar,
Ho jaati taaron ke sang,
Kash mere bhi hote pankh...

Aaj phir uski hatheli par kisi aur ka naam dekha..

November 06, 2017 0 Comments

Aaj phir uski hatheli par,
Kisi aur ka naam dekha,
Aaj phir apne dil ko,
Bina kisi naam ke dekha..

Aaj phir mohabbat ke,
Dar par gye hum,
Aaj phir khud ko,
Khali hath dekha,
Aaj phir uski hatheli par,
Kisi aur ka naam dekha...

Aaj phir hum tanha se hue,
Aaj phir dekhe dard ke dhue,
Aaj phir apne jazbaaton ka,
Khoon sare-aam dekha,
Aaj phir uski hatheli par,
Kisi aur ka naam dekha...

Aaj phir khud ko,
Ishq m anjaan dekha,
Aaj phir apne,
Junoon ka anjaam dekha,
Aaj phir uski hatheli par,
Kisi aur ka naam dekha...

Aaj phir dil tootne ki,
Aawaz ko suna,
Aaj phir dil main dabi,
Aah ko suna,
Aaj phir jamane ka humpr,
Ishq krne ke ilzaam ko dekha,
Aaj phir uski hatheli par,
Kisi aur ke naam ko dekha......

Monday 30 October 2017

Kabhi tum milo...

October 30, 2017 0 Comments

Kabhi Tum Milo, Milkar kaho,
 Ki Tumko Hai Mujhse Pyar....
Kabhi Tum Milo,
 Aakar Gale,
 Jee Lu Main Bhi Ahsas....
Mere Dil Ki Hasrte Yahi,
 Mere Dil Ki Jarurte Bhi Yahi..
Kabhi Tum karo, inkaar yu,
Ban jaaye wo iqraar,
Kabhi pherna ,tum nazre yu,
Jinme dikhe mera intzaar...

Kabhi tum ruth jaana,
Kabhi mujhko mnana,
Kbhi chup chup aanhein bharna,
Kabhi raaton tum tanha akele,
Khwaab mere hi bunna,
Kabhi tum dena ,mujhe dard yu,
Ban jaaye wo bhi dawa,
Kabhi krna tum, mujhe ishq yu,
Na lage phir zindagi saza....

Ho teri saadgi meri,
Ho teri aawargi meri,
Ho tera waqt bhi mera,
Ho teri sharatein meri,
Kabhi tum lena , meri jaan yuu,
Lagi mili ho saansein hazar,
Kabhi tum kro, aashiqui yuu,
Maange har dil tujhsa dildaar....
Ki tum ko hai mujhse pyar...
Kabhi tum milo,
Milkar kaho,
Ki tumko hai...
Mujhse pyar.. 😢😢😢

Tuesday 24 October 2017

Tere bin mumkin nahin...

October 24, 2017 0 Comments


Main aarzoo byan kru na kru,
Main haal -e- dil byan kru na kru,
Teri yaadon m har din mru na mru,
Par...
Sach to yhi hai jaana...
Bin tere muskurana..
Mumkin nahin,
Mumkin hi nahin......

Lakh pyar duniyan ,
Mujhse kre,
Tujhe chahe ke badle ,
Nafrat kre,
Ya tere sazdo se,
Rahmat ghate,
Par ,
Sach to yhi hai jaana,
Tere bina khuda bhi paana ,
Manzoor nahin...
Manzoor hi nahin....

Hadein mere ishq main, hai hi nahin,
Tujhe bhulne ki izazat, dil ko nahin,
Tujhe chahne ki aadat,badalti nahin..
Par,
Sach to yhi jaana,
Tera roj sapno m aana,
Amanat meri...
Duniya hai meri...
Bina tere muskurana,
Tere siwa dil lgana,
Mumkin nahi...
Mumkin hi nahin......

Aakhir wo ishq tha..

October 24, 2017 0 Comments

Tum roye,
Tum khoye,
Na din m jaage,
Na raaton ko soye,
Malal kis baat ka?
Arey aakhir wo ishq tha..!!!!

Tum kahin jhuke nahi the,
Usne tmhe gira diya,
Tumne manzilon ko jeeta tha,
Usne raaston m bhatka diya,
Ab ye inqualab kis baat ka?
Koi mamuli baat nahin thi,
Aakhir wo ishq tha...!!!

Tumne uske liye duniya ko chhoda,
Usne tmhe hi chhod diya,
Khubsurat lamhe bitkar,
Tanhaiyon m mod diya,
Par vaadon ka hisab kis baat ka ?
Vaadon ko to tootna hi tha,
Aakhir wo ishq tha...!!!

Jinhe mohhabat m mohhabbat mile,
Wo ishq krna  kya jaane,
Jinhe zakhm hi na mila,
Wo dard kya jaane,
Yhi hota hai mere yaaron,
Yhi hua hai,
Yhi hoti bhi rhega..,
Bina barbaadi aashiqui kaisi????
Aakhir ye ishq hai...
Aakhir wo ishq tha...
Aakhir ishq hota hi rhega...❤❤❤❤

Wednesday 18 October 2017

Tum kaho to m kahu

October 18, 2017 0 Comments

Tum kaho to main kahu,
Haal -e- dil meri jaan...
Tum kaho rah lu ,
Banke m bezubaan,
Jaan-e-jaan...
O jaan-e-jaan...

Kabhi kabhi mera dil kahta hai,
Tum mere ho,
Gar aisa hai to aye dil,
Tum kyu akele ho..
Phir bhi gam ye sahu,
Qki tune diya hai ye haan...
Tum kaho to rah lu,
Banke main bezubaan..
Jaan-e-jaan...
O jaan-e-jaan ...

Bematlab , bewaqt main baatein,
Teri karti hu...
Tu sun lega meri sadayein ,
Sajde main krti hu..
Janti hai ye chahat,
Milan nahi aasan,
Tum kaho to m rah lu,
Banke m bezubaan..
Jaan-e-jaan..
Oo jaan-e-jaan ...

Tuesday 10 October 2017

Dushman zamana

October 10, 2017 0 Comments

ishq ki dushman hai duniya saari,
or apna dil puri duniya hai haari,
har dil dhadkta hai kisi ke liye,
maangta hai duaye sanam ke liye,
par phir q do dilo ko ek hoone ke liye,
ldna hota hai jo apna h usi ke liye,
na jaane,ye faasane,kab tak yuhi,
duniya ki aankho main chubhte rhenge,
koi laakh khe is diwaangi ko bura,
par  ishq ki khudai hi aisi h ki,
ye ashiq duniya ko roj milte rhenge,
milte rhenge.......................

Ishq krne wale shayar ho jaate hai..

October 10, 2017 0 Comments

Ye ishq krne wale,
Shabdo ke jaadugar ho jaate hai,
Galiyon m dil tudwakar ,
Mehfillon main shayar ho jaate hai....

Koi mashooq ko bewafa kahta hai,
Koi mashooq se bewafai krta hai,
Koi ishq sb Kuch haarta hai,
Koi dil dene se darta hai,
Ishq main to aakhir Sb hi,
nazro ke ghayal ho jaate hai,
Galiyon m dil tudwakar,
Mehfill m shyar ho jaate hai....

Koi raaton Koi chipkar rota hai,
Koi din Bhar sapno m khota hai,
Koi kalma mahboob ka pdta hai,
Koi zamane se ldta hai,
Kuch ishq m hokar jalil phir,
Patthar se ban jaate hai,
Galiyon main dil tudwakar,
Mehfill main shayar ho jaate hai...

Kuch bde log ishq main,
Is kadar gir jaate hai,
Wo jhuke nahi mazaar par Jo,
Ishq m jhuk jaate hai,
Khuda Jo Na maana kabhi ,
Wo sajde krne jaate hai,
Galiyon m tudwakar dil,
Mehfill main shayar ho jaate hai..

Kuch ektarafa bhi hote hai,
Kahi do dil bhi Judd jaate hai,
Kuch mtlb ki karke yaari,
Naye raston par mud jaate hai,
Kuch bewafa jaanam par ,
Bhi b kayal ho jaate hai,
Galiyon m tudwakar dil,
Mehfill main shayar ho jaate hai...

Undekha anjaana

October 10, 2017 0 Comments
Undekha anjaana

saadiyo se in palko main ek khwab sajta hain..
mera maasum dil ,kisi aajnabi se pyar krta hain..
is dil ne use kbhi dekha na shi,
par uski inayaat ka ehsaas kiya hain,
uski chahat main doobe rhe hum,
usse pal pal pyar kiya hai,
har raaste par aaj bhi ye diwana dil,
kisi ka intzaar krta hai,
mera maasum dil......................................
har surat main akss dikhta hai mere yaar ka,
mera ishq khil uthe khumaar hain us bahaar ka,
jisko paakar mil jaye sukoon is diwani ko,
agar gunaah hai ye duniya ki nazro main ,
to maff kre is naadani ko
par ek baikhbar aashiq apni khudai,
aaj kisi par nisar krta hain,
mera maasum dil..............

Pehla pyar

October 10, 2017 0 Comments

Main shyd phirse pyar krlu,
Main shyd phir kisi par marlu,
Kal shyd mera waqt bhi,
Kisi ka ho jaayega,
Par jaise tujhko chaha tha,
Vaisa pyar phirse na ho paayega....

Jab tujhe chaha tha,
Ishq se be-khabar the hum,
Na sambhalna aata tha,
Thode sachche bhi the hum,
Wo chhup chhup kar tujhe dekhna,
Aur khud ko bhul jaana
Ye bhoolna bar bar na ho paayega,
Jaise tujhe ko chaha tha,
Vaise phirse na ho paayega

Teri tasveer jo aaj bhi,
Mera dil dhadka deti hai,
Tere naam ke zikar se,
Meri jaan nikal jaati hai,
Tujhe kahde koi kisi aur ka,
To lgta hai,
mann jism chhod jayega,
Jaise tujhko chaha tha,
Vaise phirse na ho paayega...

Mujhe maloom bhi ye,
Ki masoom tu hai,
Duniya ki janzeeron main,
Mashroof tu hai,
Par dil kaha jaane ??
Ye rasme or matam,
Ye tujhse shikayat ta-umr krta jaayega,
Qki jaise tujhko chaha tha ,
Vaise phirse na ho paayega...

Kuch beshram,
Kuch bd-dimag,
Thode junoon,
Aur hawai khwaab,
Sb phle pyar m hi ho paata hai,
Khud rkhe salamat ishq sbka,
Kaha har dil phir sambhal paata hai,
Ye himmat wala kaam,
Hu-ba-hu phir na ho paayega,
Jaise tujhko chaha tha,
Vaise phirse na ho paayega...

Monday 9 October 2017

One sided love

October 09, 2017 0 Comments

Haan wo humsafar hai meri,
Safar main hi to nahi hai,
Wo kahani hai meri,
bas zindagi m hi to nahi hai...

Wo mili to jaana,
Janah main sb ishq m q phirte hai,
Alfaazon m agar dilbar ho,
To kagaz ke phool b khilte hai,
Usse ishq na kru,
Aisa koi uzr (excuse) nahi hai,
Hai wo humsafar hai meri,
Safar main hi to nahi hai...

Jo pasand ho usko,
Ya uske sath Judd jaata hai,
Wo sb mere dil ki,
Daastan main mil jaata hai,
Bekhabar nahi hai wo,
Bas mohhabat ki gahraiyon  ki khabar nahi hai,
Hai wo humsafar nahi meri,
Safar main hi to nahi hai..

Ek tarfa pyar ka,
Usool kuch yuh samjhiye,
Jante hai doob marna hai,
Phir b dard -e- dariya main kood padiye,
Uski nazar gar dekh le hume,
Phir maut ka afsoos nahi hai,
Hai wo humsafar hai meri,
Bas safar main hi to nahi hai...

Sunday 8 October 2017

UnConditional Love

October 08, 2017 0 Comments
Tu Jaane Ya Na Jaane,
Tere Pyar Par Qurban Hu,
Main To Dunia Ki Reeto Se, Jaan-e-Jaana Anjana Hu...


Tu Apna Kahe Ya Na Kahe,
Mera To Tu Hi Apna Hai,
Tera Sath Mile Zindgi Bhar,
Is Dil Ka Ye Sapna Hai,
Main To Tere Ishq Main Doobi,
Dil Se Ab Barbaad Hu,
Main To Dunia Ki Reeto Se, Jaan-e-Jaana Anjana Hu...

Tu Thukra Bhi De Muje Agar,
Main Tujhko Kaise Thukrau,
Ye Jaruri Nahi Meri Chahat Ko,
Main Har Janam Mai Hi Pau,
Sab Kuch Hai Mere Paas Bs,
Teri Mohhbat Se Viran Hu,
Main To Dunia Ki Reeto Se, Jaan-e-Jaana Anjana Hu...

Mere Preet Ke Dhaage Jude Hai Bas,
Ek Tere Hi Man Ke Dhaago Se,
Main To Hari Apna Sab,
Tujse Kiye Pyar Ke Wade Sab,
Jb Se Tujko Chaha Hai,
Is Dunia Ki Mehmaan Hu,
Main To Dunia Ki Reeto Se, Jaan-e-Jaana Anjana Hu...


Kash (काश)

October 08, 2017 0 Comments

Aye Kash Ki Tum, 
Mere Liye Kash Nahi Hote,
Tum Muqmmal Na Sahi, 
Par Adhoore Khawab Na Hote,
Din Rat Bate Na Sahi, 
Par Majboor Ye Alfaz Na Hote ,
Aye Kash Ki Tum, 
Mere Liye Kash Na Hote.......


Tum Rula Ke Muje, 
Mnate Na Sahi,
Tum Krke Pyar Bhi, 
Jtate Na Sahi,
Par Mere Sath Jeene Ke Armaan,
Tere Har Armaan Main Hote........
Aye Kash Ki Tum Mere Liye Kash Na Hote......


Tum Hasrat Na Hokr,
 Mere Ibadat Hote,
Muje Sukun De jo, 
Vo Shrarat Si Hote,
Jb Chot Ek Ko Lgti To,
 Dono Sath Main Rote,
Aye Kash Ki Tum,
 Mere Liye Kash Nahi Hote.......


Mujhe tere liye,
 tarasna na pdta,
Mujhe paane ke liye,
Tu bhi duniya se ldta,
Har raat teri aankhon main,
Mere khwaab hote ,
Aye kash ki tum,
Mere liye kash na hote....